Monday, May 20, 2013

Ek sipaahi ke kalam se..!!


Zaroorat nahin hai un alafazon ki
jab tera chehra sab bayan karta hai,
tere ankhon ne kaha ruk jaa ae chehre ,
yeh saala aashiq to mujhe pe marta hai,

ghane kohre main halki dhoop ki tarah,
tune li mere dil main ek choti si jagah,
tujhe har baat pe sochne ki pata nahin kya hai wajah,
ki ho jaise zarre zarre main khuda ki jagah

magar tujhe pana hai bilkul waisa ,
pani main pani se pani likhne jaisa,
dhyaan se soch tu to rishta hai yeh anmol aisa,
ki kum pad jaye is duniya ka saara paisa,

Socha to yeh humne tha is desh pe mar mitna hai,
Per tujhse milne ke baad aisa laga , kuch na kuch to tere liye karna hai,
Woh teri muskurahatein kya wada kar gayi humse,
zindagi main humari ek umeed jaga gayi jaise,

Kash hum is pal ko yahin rok sakte,
aur tere saath lambe safar pe chal padte,
Per sach to yeh hain ki pal kabhi rukte nahi,
Tujhe bas door se dekhna yeh hi lagta humein sahi.....